Aaj fir udasiyon ne, dil pe dala dera,
Utha zamin se koshish ki, udne ki ambar ki oar,
Bahut kacchi hai lekin, mere hauslon ki dor.
Kadam mud gaye udhar fir, mila thoda sukun wahan,
Ja baitha us sahil pe, dubi kayi kashtiyan jahan,
Thodi dur hai aur raasta, jata jo kshitij ki oar,
Prayatna kiya mann ne bahut, badhne ka aage do kadam,
Shayad aaj mita hi jaoon, bandhnon ka ye bharam,
Darta hu lekin, kya ye saahas kar paunga,
Kyunki ye janta hu main,
Do kadam badha to dub jaunga…
Do kadam badha to dub jaunga…

